Mein yad aunga, jab kabhi halki barish me bheeg jaoge
Mein yad aunga,tanhai me ik ashk jab bahaoge
Mein yad aunga,kisi ko jab,dard apne bata na paoge
Mein yad aunga,jab thaki hui sooni raaton me so nahi paoge
Mein yad aunga,mithi si nind me bhi,nam mera dohraoge
Mein yad aunga,jab geet mera koi gungunaoge
Mein tumhe yad aunga,jab dard judai ka seh nahi paoge
Janam Mein yad aunga,chah kar bhi khud ko hasa nahi paoge
Mein yad aunga,jab mushkilon se haar kar bikhar jaoge
Mein tumhe yad aunga,sare shikwe gile lekar chahe akele me chale jaoge
Magar Mein fir bhi yad aunga,jab kisi apne se rooth jaoge
Mein yad aunga,lamho ki jagah,jab waqt ke sath tum bhi beet jaoge
Janam Mein tumhe yad aunga,kitab samne khol kar bhi kuch parh nahi paoge
Mein yad aunga,kaise ye dard dil me dabaoge
Mein yad aunga,batana chahoge par bata na paoge
Mein yad aunga,jab kahin kisiko muskurata paoge
Mein yad aunga,wo har boond jo ankh se bahaoge,har boond me meri hi tasveer paoge
Mein yad aunga,raat ke ambar par sitaro se koi tasvir banaoge
Mein yad aunga,door rehkar mujhse,batao khud ko itna aur sataoge
Mein yad boht yad aunga, jab kabhi halki barish me bheeg jaoge
Janam mein boht yad aunga,mein sach me tumhe boht yad aunga