ae kash k yeh doori na hoti
tere mere beech yeh majburi na hoti
tu hasti rehti,me hasata sari umar
kash hamari yeh kahani adhuri na hoti
aw kash k waqt itna zalim na hota
bas tu meri hoti,aur me tera hota
ik tujhe hasane ki khatir me ,tamam umar hi rota
ik aisa hota to kaisa hota
bas tu meri hoti,aur me tera hota
tujhe kaise me smjhau,kitni khali hai zindagi bina tere
kya karu,kaha jau,nahi milti mujhe khushi bina tere
kaha se lau wo waqt,wo khoi zindagi,jiske sath kho gayi hai meri hasi bina tere
ye pyar hai ya dard ka dariya,me doobta ja raha hu,ubharta nahi bina tere
socha tha tujhe zindagi du,hasi du,khushi du,bas dard hi hai magar paas mere
teri ye bhigi aankhe bata rahi hai,bas aansu hi hai paas mere
kya dard diya ye zindagi ne,khud ghum bhi hai aj udas mere
dard me dooba me rota hi raha,aj apne bhi nahi hai sath mere
bas ik tu ho,ik main hou
aur ho na koi darmian apne
tu hasti rahe ,me pyar tujhe karta rahu
dekhe hai aise mene kayi sapne
bas tu hasti rahe,aur me pyar karta rahu
pyar yaha ho,pyar waha ho
bas tu hasti rahe,aur me pyar karta rahu..........
bas me pyar karta rahu......